back

song: Sarfaroshi Ki Tamanna
film: The Legend of Bhagat Singh
musicdirector: A R Rahman
songwriter: Sameer
singer: PART 1: Sonu Nigam, Chorus, PART 2: Sonu Nigam, Hariharan

PART 1:

sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil me.n hai
(the desire to sell our head is now in our hearts)

dekhana hai zor kitana baazu-e-qaatil me.n hai
(we wish to assess how much strength is there in the arms of swordsman who beheads)

sarafroshi
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil me.n hai
dekhana hai zor kitana baazu-e-qaatil me.n hai

dekh sakta hai to tu bhi dekh le, ae aasmaa.n
(you also see, if you can, O heavens!)

hausalaa ye dekh ke qaatil badi mushquil me.n hai
(that the killer is facing a lot of difficulties on seeing this courage in us)

sarafroshi, sarafroshi, sarafroshi, sarafroshi, sarafroshi, sarafroshi, sarafroshi

apne hi lahoo se ham, likhe.nge apni daastaa.n
(we shall pen our autobiography with our own blood)

zaalimo.n se chheen le.nge, ye zamee.n, ye aasmaa.n
(we shall forcibly reclaim this earth, this sky from the cruel rulers)

apne hi lahoo se ham, likhe.nge apni daastaa.n
zaalimo.n se chheen le.nge, ye zamee.n, ye aasmaa.n
sarphire jawaan, hum to maut se bhi na dare.n
(we are eccentric youths, we are not afraid of even the death)

aa.nch aaye des pe, ye kyo.n gawaaraa hum kare.n
(why should we tolerate the possibility of any harm to our country)

mulq pe qurbaan ho.n, ye aarzoo dil dil me.n hai
(may we sacrifice ourselves for our country, this desire is in every heart)

sarfaroshi
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil me.n hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil me.n hai
dekhana hai zor kitana baazu-e-qaatil me.n hai

PART 2:

sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil me.n hai
dekhana hai zor kitana baazu-e-qaatil me.n hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil me.n hai
dekhana hai zor kitana baazu-e-qaatil me.n hai

waqt aane pe bata de.nge tujhe ae aasmaa.n
(when the moment comes, we shall show you, o heavens!)

kya bataaye.n hum junoon-e-shauk kis manzil me.n hai
(what can we tell now the extent of our interest in patritism)

sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil me.n hai
sarfaroshi ki tamanna

doriyaa.n ummeed kii na aaj hum se chhoot jaaye.n
(may the ropes of hope not get missed from our hands)

mil ke dekha hai jinhe vo sapane.n bhi na rooth jaaye.n
(may the dreams that we had dreamt together not get annoyed with us)

hausale vo hausale kya jo sitam se toot jaaye.n
(that courage is no courage that gets broken under the spell of terror)

hausale vo hausale kya jo sitam se toot jaaye.n
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil me.n hai
dekhana hai zor kitana baazu-e-qaatil me.n hai

tere sone roop ko ham, ik nayii bahaar de.nge
(we shall attribute a new spring to your already golden shape)

apne hi lahoo se tera ra.ng ham nikhaar de.nge
(we shall refine you color by using our own blood)

des, mere des, tujh pe, zi.ndagii bhi vaar de.nge
(nation, o my nation!, we shall sacrifice even our life on you)

des, mere des, tujh pe, zi.ndagii bhi vaar de.nge
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil me.n hai
dekhana hai zor kitana baazu-e-qaatil me.n hai

khushboo ban ke, mahakaa kare.nge, ham lahalahaatii har faslo.n me.n
(we shall become fragrance and smell in every flourishing crops)

saa.ns ban ke, ham, gungunaae.nge, aane waalii har naslo.n me.n
(we shall become the breaths and will get hummed by the generations to come)

khushboo ban ke, mahakaa kare.nge, ham lahalahaatii har faslo.n me.n
saa.ns ban ke, ham, gungunaae.nge, aane waalii har naslo.n me.n
aane waalii, aane waalii, naslo.n me.n
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil me.n hai
dekhana hai zor kitana baazu-e-qaatil me.n hai

waqt aane pe bata de.nge tujhe ae aasmaa.n
kya bataaye.n ham junoon-e-shauk kis manzil me.n hai

version: 1.00
last updated: 05/05/2002
presented by: V S Rawat

back