back

song: mil hi gaye
film: Mr Romeo
musicdirector: a r rahman
songwriter: p k mishra
singer: s p balasubrahmanyam, swarnalatha, sadhna sargam

mil hi gaye sajan tum mil hi gaye
(afterall you have met, o lover, you have met)

chaman dekho khil hi gaye balam tum mil hi gaye
(see the gardens have bloomed, o lover, you have met)

mil hi gaye sajan tum mil hi gaye
chaman dekho khil hi gaye balam tum mil hi gaye
aankhen maine kholi to aankho mein samaayee tu
(when i opened my eyes, you were filling my eyes)

jab se tum se pyaar hua meri jaan mujhe jeene ka bahana mil gaya
(ever since i felt love for you, o my soul, i have got an excuse for living)


aankhen maine kholi to aankho mein samaayee tu
jab se tum se pyaar hua meri jaan mujhe jeene ka bahana mil gaya
mil hi gaye sajan tum mil hi gaye
chaman dekho khil hi gaye balam tum mil hi gaye

kitne din se tum se lipatne ko tujh mein samane ko tarsa hu main re ja
(for how many days, i have craved for clinging to you, for mingling in you, o life)

kitne din se machla hai mera dil tere hi sapno mein khoya hai mera dil
(for how many days, my heart has insisted, my heart has remained lost in just your dreams)

dilbar mere ho tum jivan bhi ye hai tumhara
(you are my lover, this life is also yours)

pyaar mere aayee hai jawani ye teri meharbani
(o my love, this youth has come on me, courtesy you)

aankhen maine kholi to aankho mein samaayee tu
jab se tum se pyaar hua meri jaan mujhe jeene ka bahana mil gaya
aankhen maine kholi to aankho mein samaaya tu
jab se tum se pyaar hua meri jaan mujhe jeene ka bahana mil gaya

jabse tumne apna banaya hai meri mohabbat ke gul ko khilaya hai
(ever since you have made me your own, you have bloomed the flower of love)

jabse tumne ras barsaya hai chahat ki kaliyo ka madhuban khilaya hai
(everysince you have outpoured the juices, you have bloomed the garden of the buds of love)

aaja jaanam hum tum hanste gaate pyaar se jee le
(come, o love, you and me live with love, laughing and singing)

jan-e-jaa goonji hai hawaao mein teri meri kahani
(o my soul, your and my story has been echoing in the airs)

aankhen maine kholi to aankho mein samaaya tu
jab se tum se pyaar hua meri jaan mujhe jeene ka bahana mil gaya
aankhen maine kholi to aankho mein samaayee tu
jab se tum se pyaar hua meri jaan mujhe jeene ka bahana mil gaya

version: 1.00
last updated: 01/08/2000
presented by: vulcan

back