back

song: mil gaye mil gaye
film: Love Birds
musicdirector: a r rahman
songwriter: p k mishra
singer: hariharan, chitra

mil gaye, mil gaye, dilbar mere
(i have found my lover)

khil gaye, khil gaye, khaab sunahre
(golden dreams have bloomed)

ulfat ki raaho mein, aa gaye tum baho mein
(on the roads of belongingness, you have arrived in my arms)

aankho mein tum ho, khaabo mein tum ho
(you are in the eyes, you are in the dreams)

saanso mein tum ho jaan-e-jaa
(you are in the breaths, o my life)

mil gaye mil gaye dilbar mere
khil gaye khil gaye khaab sunahre
ulfat ki raaho mein aa gaye tum baho mein
aankho mein tum ho khaabo mein tum ho
saanso mein tum ho jaan-e-jaa

meri tamanna hai ye mere dil ke raja tumko main seene se laga lu
((my desire is that, o the king of my heart, i hold you in my breast)

meri tamanna hai ye mere dil ki rani julfo mein mujhko chhupa lo
(my desire is that, o the queen of my heart, you make me hide in your hairlocks)


tere liye hai saajan julfo ki thandi chhaiya
(the cool shadow of my hailocks is for you, my lover)

tujhpe fida hu saajan dil se laga le o saiya
(i am attracted towards you, o lover, please hold me to your chest, o lover)

lut hi gaya hu main to dekha jab se tujhko
(i have got looted ever since i have seen you)

teri mohabbat sajni raat din tarsaaye mujhko
(your love, o lover, makes me crave day and night)

jee na sakungi main tere bin jaan-e-wafa
(i will not be able to live without you, o the life of my faith)

hontho ko choom lu main ae mere jaan-e-jaa
(let me kiss your lips, come, o my life of style)

khil gaye khil gaye khaab sunahre
ulfat ki raaho mein aa gaye tum baho mein
aankho mein tum ho khaabo mein tum ho
saanso mein tum ho jaan-e-jaa

bheegi fizaaey pyaari thandi hawaye saari aaee hai chhoo ke teri khushboo
(the wet atmosphere is lovely, all winds are cold, these have come after touching your fragrance)

khilti jawani meri pyasi hai preetam teri dil mein samaya hardam tu hi tu
(my budding youth is thirsty of you, o lover, you and only you are occupying my heart)

khaabo mein rakhna jaanam tera aana jaana
(keep up your arrival and departure in my dreams)

jab dil pukare tujhko pyaar nibhane aa jaana
(whenever my heart gives you a call, please come to live up to the love)

toote kabhi na saajan apna pyaara bandhan
(may our lovely bond never break up, o lover)

tujhko banaya maine apne maathe ka chandan
(i have made you the sandal of my forehead)

jee na sakunga main tere bin jaan-e-wafa
hontho ko choom lu main ae mere jaan-e-jaa
mil gaye mil gaye dilbar mere
khil gaye khil gaye khaab sunahre
ulfat ki raaho mein aa gaye tum baho mein
aankho mein tum ho khaabo mein tum ho
saanso mein tum ho jaan-e-jaa

version: 1.00
last updated: 01/08/2000
presented by: vulcan

back