back

song: pyare panchhi bahon mein
film: Hindustani
musicdirector: a r rahman
songwriter: p k mishra
singer: k j, yesudass

tanda na ne ta na ne anand mein
tanda na ne ta na ne anand mein
tanda na ne ta na ne anand mein
tanda na ne ta na ne anand mein
pyaare panchhi baaho mein,
(o lovely words in my arms)

gaati koyal raho mein
(the nightingale is singing on the road)

dharti pe ye hi to khushi hai
(just this is the happiness on the face of earth)

apni duniya mein aansoo bhi nahi hai
(there are no tears in our world)

pyaare panchhi baaho mein,
gaati koyal raho mein
dharti pe ye hi to khushi hai
apni duniya mein aansoo bhi nahi hai
chhoti chhoti kutiya mein swarg hai yaha
(in our little abode, there is heaven here)

aur chhote chhote dil mein behta pyar ka ye jharna
(and, in this little heart flows the waterfall of love)

panchhi jo udhna chahe to patta kahe ka
(if the bird wishes to fly what is the significance of the collar that is to stop him)

ye pyaar hi kaafi hai gori paisa vaisa kya karna
(this love is enough , o fair complexioned, what do we do with money)

pyaare panchhi baaho mein,
gaati koyal raho mein
dharti pe ye hi to khushi hai
apni duniya mein aansoo bhi nahi hai

aasmano mein anand, mitti mein bhi hai anand
(there is happiness in the skies, there is happiness in the soil also)

ye dharti cheer ke ugne wale ankur mein anand
(there is happiness in this offshoot that is growing having torn the land)

dhoop ka sardi mein anand, nadi ka varsha mein anand
(the sunbeam appears pleasurable in the winter, the river gives pleasure in the rainy season)

aur versha mein badle bhumi ke rango mein anand
(and there is pleasure in the changed colors of land during rains)

jeevan ka ye anand, sau barso ka anand sajni
(this pleasure of life, this pleasure of a hundred years, oh dear)

duniya mein har dil ki dhadkan mein anand anand
(there is pleasure in the heartbeat of every heart in the world)

pyaare panchhi baaho mein,
gaati koyal raho mein
dharti pe ye hi to khushi hai
apni duniya mein aansoo bhi nahi hai

teri sanso mein reh ke dhalti umar ka anand
(the pleasure of falling age after having stayed in your breaths)

tum agle janam mein phir se milo to aur bhi anand
(if you meet me again in my next life, then it is all the moer happiness)

thandi raato mein tere badan ki garmi ka anand
(the pleasure of the warmth of your body in the cold nights)

aur jeevan bhar jo tumne diya hai jeene ka anand
(and the pleasure of living that you had given throughout the life)

apnepan mein anand, rishto mein bhi anand
(there is pleasure in belongingness, there is pleasure in the relationships)

chhalke auro ki khatir jo aansoo hai anand
(there is pleasure in the tears which come out for the sake of others)

pyaare panchhi baaho mein,
gaati koyal raho mein
dharti pe ye hi to khushi hai
apni duniya mein aansoo bhi nahi hai
pyaare panchhi baaho mein,
gaati koyal raho mein
dharti pe ye hi to khushi hai
apni duniya mein aansoo bhi nahi hai
chhoti chhoti kutiya mein swarg hai yaha
aur chhote chhote dil mein behta pyar ka ye jharna
panchhi jo udhna chahe to patta kahe ka
ye pyaar hi kaafi hai gori paisa vaisa kya karna
pyaare panchhi baaho mein,
gaati koyal raho mein
dharti pe ye hi to khushi hai
apni duniya mein aansoo bhi nahi hai

version: 1.00
last updated: 01/08/2000
presented by: vulcan

back