% \startsong \stitle{jin raato.n me.n nii.nd u.D jaatii hai, kyaa kahar kii raate.n hotii hai.n}% \film{Raat Ki Rani}% \year{1949}% \starring{}% \singer{Rafi}% \music{Hansraj Behl}% \lyrics{Arzoo Lucknowi}% % % Contributor: Mohan Rathore (rathore@er1.rutgers.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % jin raato.n me.n nii.nd u.D jaatii hai, kyA kahar kii raate.n hotI hai.n daravaajo.n se Takaraa jaate hai.n, dIvaaro.n se baate.n hotI hai.n ghiraghir ke jo badal aate hai.n aur bin barase khul jaate hai.n aashaao.n kii jhUThii duniyA me.n sUkhii barasaate.n hotI hai jab vo nahii.n hote pahaluu me.n aur lambI raate.n hotI hai yaad aake sataatii rahatii hai aur dil se baate.n hotI hai.n ha.Nsaane me.n jo aa.Nsuu aate hai.n, do tasvIre.n dikhalaate hai.n har roj janaaje uThaate hai.n, har roj baaraate.n hotI hai himmat kisakii hai jo puchh sake ye aaraju\-e\-saudaaii se kyuu.N saahib aakhir akele me.n ye kisase baate.n hotI hai.n % #endindian \endsong %