% \startsong \stitle{aaj madhosh huaa jaae re, meraa man, meraa man, meraa man}% \film{Sharmilee}% \starring{Shashi Kapoor, Raakhee}% \singer{Kishore, Lata}% \music{S D Burman}% \lyrics{Neeraj}% % % Contributor: Anup Pandey % Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 03/30/1997 % \printtitle #indian % la: aaj madhosh huaa jaae re meraa man meraa man meraa man binaa hii baat muskuraae re meraa man meraa man meraa man o rii kalii sajaa tuu Dolii o rii lahar pahanaa tuu paayal o rii nadii dikhaa tuu darpan o rii kiraN u.Daa tuu aa.Nchal ek jogan hai banii aaj dulhan ho o aao u.D jaae.n kahii.n banake pavan aaj madhosh huaa jaae re ki: sharaarat karane ko lalachaae re meraa man meraa man meraa man ai, yahaa.N hame.n zamaanaa dekhe la: to ki: aao chalo kahii.n chhup jaae.n la: achchhaa ki: yahaa.N hame.n zamaanaa dekhe aao chalo kahii.n chhup jaae.n kaise kaho pyaase rah jaae.n tuu merii mai.n huu.N teraa terii qasam ho o la: mai.n terii tuu meraa merii qasam ho o aaj madhosh huaa jaae re meraa man meraa man meraa man la: rom rom bahe sur dhaaraa a.Ng a.Ng baje shahanaaii jiivan saaraa milaa ek pal me.n jaane kaisii gha.Dii ye aaii chhuu liyaa aaj mai.nne saaraa gagan ho o naache man aaj moraa jhuum chhanan chhanan o o aaj madhosh huaa jaae re meraa man meraa man meraa man ki: sharaarat karane ko lalachaae re la: binaa hii baat muskuraae re ki: meraa man la: meraa man % #endindian \endsong %