% \startsong \stitle{dulhan banii huii, ab ke chaman me.n aa_ii hai}% \film{}% \starring{}% \singer{}% \music{}% \lyrics{}% % % Contributor: Vandana Sharma (uusharma@uxa.ecn.bgu.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % dulhan banii huii, ab ke chaman me.n aaii hai bahaar ho ke terii, anjuman me.n aaii hai to sajanaa aaye hai.n Dolii lAye hai.n, saheliyo.n, ab to ba.Dhaao morI shaan taaro.n se morI maa.Ng bharo \- 3 AyA hai koI lene mujhako baa.ndh kar sar par seharaa mere khyaalo.n kA gahanaa hai chaa.Nd saa usakaa cheharaa jag uThe hai.n aramaan, taaro.n morI maa.Ng bharo ho sajanaa aaye hai.n Dolii laaye hai.n, saheliyo.n, ab to ba.Dhaao morI shaan taaro.n se morI maa.Ng bharo maathaa bindiyaa se chamakaa do, a.Nkhiyo.n me.n bharado kajaraa haath rachaa do meha.ndii se aur Daalo gale me.n gajaraa hogaa tumhaaraa ehasaan taaro.n morI maa.Ng bharo ho sajanaa aaye hai.n Dolii laaye hai.n, saheliyo.n, ab to ba.Dhaao morI shaan taaro.n se morI maa.Ng bharo mujhako vidaa karavaado sakhiyo.n more maat\-pitaa se dUr kha.Daa aa.Nsuu nA bahaaye kaha do ye bhaiyaa se mai.n to thI mehamaan taaro.n se morI maa.Ng bharo (ho sajanaa aaye hai.n Dolii laaye hai.n, saheliyo.n, ab to ba.Dhaao morI shaan taaro.n se morI maa.Ng bharo ) \- 2 % #endindian \endsong %