% \startsong \stitle{dekho ruuThaa naa karo, baat nazaro.n kii suno}% \film{Tere Ghar Ke Saamne}% \starring{Dev Anand, Nutan}% \singer{Rafi, Lata}% \music{S D Burman}% \lyrics{Hasrat}% % % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Satish Subramanian (subraman@myria.cs.umn.edu) % Kedar Nahade (ksn2@Lehigh.EDU) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % (rafii: dekho ruuThaa naa karo, baat nazaro.n kii suno lataa: ham na bole.nge kabhii, tum sataayaa naa karo ) \- 2 rafii: dekho ruuThaa naa karo rafii: cheharaa to laal huaa, kyaa kyaa haal huaa is adaa par terii, mai.n to paagal huaa tum biga.Dane jo lago, aur bhii ha.nsii.n lago lataa: ham na bole.nge kabhii, tum sataayaa naa karo rafii: dekho ruuThaa naa karo lataa: jaan par merii banii, aapakii Thaharii ha.nsii haay, mai.n jaan ga_ii, pyaar kii chikanaagarii (?) dil jalaane ke liye, Tha.nDii aahe.n na bharo rafii: dekho ruuThaa naa karo, baat nazaro.n kii suno lataa: ham na bole.nge kabhii rafii: terii khushabuu ne mere, hosh bhii chhiin liye hai.n khushii aaj hame, tere pahaluu me.n gire dil kii dha.Dakan pe zaraa, phuul saa haath rakho lataa: ham na bole.nge kabhii, tum sataayaa naa karo rafii: dekho ruuThaa naa karo lataa: kyaa kahegaa ye samaa, in raaho.n kaa dhu.Naa laaj aae mujhe, mujhako laae ho kahaa.N ham tumhe maan gae, tum ba.De vo ho haTo rafii: dekho ruuThaa naa karo, baat nazaro.n kii suno lataa: ham na bole.nge kabhii, tum sataayaa naa karo rafii: dekho ruuThaa naa karo % #endindian \endsong %