% \startsong \stitle{dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gayaa}% \film{Main Khiladi Tu Anadi}% \year{}% \starring{Saif Khan, Akshay Kumar}% \singer{Kumar Sanu, Alka Yagnik}% \music{Annu Malik}% \lyrics{Rahat Indori}% % % Contributor: Kuntal Shah (kuntal@india.ti.com) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Wed Jan 17 1996 % Credits: % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % \printtitle #indian % zubaa.n khaamosh hotii hai nazar se kaam hotaa hai \-2 isii pal kaa zamaane men mohabbat naam hotaa hai dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gayaa jaane kab kaise ikaraar ho gayaa ye vo ahasaas hai jisako na lafzo.n kii zaruurat hai jise paakar lage saaraa zamaanaa khuubasuurat hai zamaanaa khuubasuurat hai mohabbat naam hai jisakaa adaao.n me.n dikhaaii de terii dha.Dakan kii har sargam me.n ye mujhako sunaaii de ye mujhako sunaaii de mere ho.nTho.n pe jab tere labo.n kaa jaam hotaa hai isii pal kaa zamaane men mohabbat naam hotaa hai dekho dekho dekho \threedots badal jaate hai.n sab aasaar jab ye pyaar hotaa hai binaa bole hii chaahat kaa hasii.n izhaar hotaa hai hasii.n izhaar hotaa hai khayaalo.n kii hasii.n vaadii me.n jab tum gunagunaatii ho merii saa.Nso.n kii dariyaa me.n ka_ii tuufaan laatii ho ka_ii tuufaan laatii ho bahut bechainiyo.n me.n bhii ba.Daa aaraam hotaa hai isii pal kaa zamaane men mohabbat naam hotaa hai dekho dekho dekho \threedots % #endindian \endsong %