% \startsong \stitle{cha.ndaa ko Dhuu.NDhane sabhii taare nikal pa.De}% \film{Jeene Ki Raah}% \year{1969}% \starring{Jeetendra, Tanuja}% \singer{Rafi, Asha, Usha, Hemlata}% \music{Laxmikant-Pyarelal}% \lyrics{Anand Bakshi}% % % Contributor: Kamlesh Nanavati % Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 10/24/1996 % \printtitle #indian % rafii: bachcho.n\threedots ek samay kii baat suno, a.ndhiyaarii thii raat suno diipak chorii ho gayaa, chaa.Nd kahii.n par kho gayaa bachchaa: phir kyaa huaa? rafii: cha.ndaa ko Dhuu.NDhane sabhii taare nikal pa.De \-2 galiyo.n me.n vo nasiib ke maare nikal pa.De cha.ndaa ko \threedots aashaa: cha.ndaa ko Dhuu.NDhane sabhii taare nikal pa.De \-2 galiyo.n me.n vo nasiib ke maare nikal pa.De cha.ndaa ko \threedots unakii nazar kaa jis ne nazaaraa churaa liyaa unake dilo.n kaa jis ne sahaaraa churaa liyaa us chor kii talaash me.n saare nikal pa.De cha.ndaa ko \threedots Gam kii a.ndherii raat me.n jalanaa pa.Daa unhe.n phuulo.n ke badale kaa.NTo.n pe chalanaa pa.Daa unhe.n dharatii pe jab gagan ke dulaare nikal pa.De cha.ndaa ko \threedots unakii pukaar sun ke yah dil Dagamagaa gayaa ham ko bhii koii bichha.Daa huaa yaad aa gayaa bhar aaii aa.Nkh hamaare nikal pa.De cha.ndaa ko \threedots % #endindian \endsong %