% \startsong \stitle{beqaraar dil, tuu gaaye jaa, khushiyo.n se bhare vo taraane}% \film{Door Ka Raahi}% \year{1971}% \starring{Ashok Kumar, Kishore Kumar, Tanuja}% \singer{Kishore, Sulakshna Pandit}% \music{Kishore}% \lyrics{A Irshad}% % % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % beqaraar dil, tuu gaaye jaa khushiyo.n se bhare vo taraane jinhe.n sun ke duniyaa jhuum uThe aur jhuum uThe dil diivaane beqaraar dil \threedots raag ho koI milan kaa, sukh se bharii saragam kaa yug\-yug ke ba.ndhan kaa, saath ho laakho.n janam kaa aise hii bahaare.n gaatii rahe.n, aur sajate rahe viiraane jinhe.n sun ke \threedots raat yuu.N hii tham jaayegii, rut ye ha.nsii.n musakaaegii ba.ndhii kalii khil jaayegii, aur shabanam sharamaayegii pyaar ke vo kaise nagame, jo ban jaaye.n afasaane jinhe.n sun ke \threedots dard me.n Duubii dhun ho, siine me.n ik sulagan ho saa.nso.n me.n halakii chubhan ho, sahamii huii dha.Dakan ho doharaate rahe.n bas giit ye aa, duniyaa se rahe.n begaane jinhe.n sun ke \threedots % #endindian \endsong %