% \startsong \stitle{chupake chupake raat din aa.Nsuu bahaanaa yaad hai}% \film{Nikaah}% \year{1982}% \starring{Salma Agha, Raj Babbar, Deepak Parashar}% \singer{Ghulam Ali}% \music{Ghulam Ali}% \lyrics{Hasrat Mohani}% % % Contributor: Vasant Joshi % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: Rajneesh % Comments: The song is featured in the movie Nikaah, but is truncated % Given here is the full-length version of Ghulam Ali's rendition % \printtitle #indian % chupake chupake raat din aa.Nsuu bahaanaa yaad hai ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai khii.nch lenaa vo meraa pad.re kaa konaa baf\-a\-tan aur dupaTTe me.n vo teraa mu.Nh chhupaanaa yaad hai berukhii ke saath sunanaa dad.r\-e\-dil kii daasataa.N vo kalaa_ii me.n teraa ka.ngan ghumaanaa yaad hai vaqt\-e\-rukhsat alavidaa kaa lafz kahane ke liye vo tere suukhe labo.n kaa thar\-tharaanaa yaad hai chorii chorii ham se tum aakar mile the jis jagah muddate.n guzarii.n par ab tak vo Thikaanaa yaad hai dopahar kii dhuup me.n mere bulaane ke liye vo chhajje par teraa na.nge paa.Nv aanaa yaad hai tujhase milate hii vo bebaaq ho jaanaa meraa aur teraa daa.Nto.n me.n vo u.ngalii dabaanaa yaad hai tujh ko jab ta.nhaa kabhii paanaa to az_raahe\-lihaaz haal-e-dil baato.n hii baato.n me.n jataanaa yaad hai aa gayaa agar vasl kii shab bhii kahin ziqr\-e\-firaq vo teraa ro ro ke bhii mujhako rulaanaa yaad hai % #endindian \endsong %