% \startsong \stitle{ye zi.ndagii, aaj jo tumhaare badan kii ##(Jagjit Singh Ghazal)##}% \film{non-Film}% \year{}% \starring{}% \singer{Jagjit Singh}% \music{Jagjit Singh}% \lyrics{Nida Fazli}% % % Contributor: Guri (buxi@ix.netcom.com) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Sun Sep 10 1995 % Credits: % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: from the `Insight' album (1993) % \printtitle #indian % ye zi.ndaGii ! aaj jo, tumhaare badan kii chhoTii\-ba.Dii naso.n me.n machal rahii hai, tumhaare pairo.n se, chal rahii hai ye zi.ndaGii ! tumhaarii aavaaz me.n Gale se, nikal rahii hai tumhaare lafzo.n me.n, Dhal rahii hai ye zi.ndaGii ! jaane kitanii sadiyo.n se yuu.Nhii shaqale.n badal rahii hai badalatii shaqale.n badalate jismo.n me.n chalataa\-phirataa ye ik sharaaraa jo is gha.Dii naam hai tumhaaraa isii se saarii shahal\-pahal hai isii se roshan hai har nazaaraa sitaare to.Do, yaa ghar basaao qalam uThaao, yaa sar jhukaao tumhaarii aa.Nkho.n kii roshnii tak hai khel saaraa ye khel hogaa nahii.n dubaaraa! ye khel hogaa nahii.n dubaaraa! % #endindian \endsong %