% \startsong \stitle{vahii u.Dii\-u.Dii ghaTaae.n hai.n, ek tum nahii.n ho to}% \film{Mera Ghar Mere Bachche}% \year{1960}% \starring{Sohrab Modi, Sulochana, Sudesh Kumar, Kumari Naaz}% \singer{Mukesh}% \music{Sardar Malik}% \lyrics{Hasrat}% % % Contributor: Kamlesh Nanavati % Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 10/30/1996 % Credits: Ashok Dhareshwar % \printtitle #indian % vahii u.Dii\-u.Dii ghaTaae.n hai.n, ek tum nahii.n ho to kuchh nahii.n \- 2 vahii bhiigii\-bhiigii havaae.n hai.n, ek tum nahii.n ho to kuchh nahii.n \- 2 hai kalii se gul ko mile hue, yahaa.N zaKm\-e\-dil hai khile hue vahii koyalo.n kii sadaae.n hai, vahii koyalo.n kii sadaae.n hai ek tum nahii.n ho to kuchh nahii.n, ek tum nahii.n ho to kuchh nahii.n jo kiye the vaade nigaaho.n me.n, vahii u.D gae aae havaao.n me.n vahii khoii\-khoii fizaae.n hai.n, vahii khoii\-khoii fizaae.n hai.n ek tum nahii.n ho to kuchh nahii.n, ek tum nahii.n ho to kuchh nahii.n yahii.n kal to tum mere saath the, gore haatho.n me.n mere haath the magar aaj ho.NTho.n pe aahe.n hai.n, magar aaj ho.NTho.n pe aahe.n hai.n ek tum nahii.n ho to kuchh nahii.n, ek tum nahii.n ho to kuchh nahii.n % #endindian \endsong %