% \startsong \stitle{us ko nahii.n dekhaa ham ne kabhii, par isakii zaruurat kyaa hogii}% \film{Daadi Maa}% \year{1966}% \starring{Ashok Kumar, Bina Rai, Durga Khote, Rehman, Shashikala}% \singer{Manna De, Mahendra Kapoor}% \music{Roshan}% \lyrics{Majrooh}% % % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K. G (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: rec.music.indian.misc % Rajan Parrikar (parrikar@mimicad.Colorado.EDU) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % mahe: us ko nahii.n dekhaa hamane kabhii par isakii zaruurat kyaa hogii dono: ai maa.N, ai maa.N terii suurat se alag bhagavaan kii suurat kyaa hogii, kyaa hogii us ko nahii.n dekhaa hamane kabhii\threedots man: inasaan to kyaa devataa bhii aa.Nchal me.n pale tere hai svarg isii duniyaa me.n kadamo.n ke tale tere mamataa hii luTaaye jisake nayan, ho\threedots dono: mamataa hii luTaaye jisake nayan aisii koii muurat kyaa hogii ai maa.N, ai maa.N terii\threedots mahe: kyo.n dhuup jalaaye dukho.n kii kyo.n Gam kii ghaTaa barase ye haath duaao.n vaale rahate hai.n sadaa sar pe tuu hai to a.ndhere path me.n hame.n, ho\threedots dono: tuu hai to a.ndhere path me.n hame.n suuraj kii zaruurat kyaa hogii ai maa.N, ai maa.N terii\threedots dono: kahate hai.n terii shaan me.n jo koii uu.Nche bol nahii.n bhagavaan ke paas bhii maataa tere pyaar kaa mol nahii.n ham to yahii jaane tujhase ba.Dii, ho\threedots ham to yahii jaane tujhase ba.Dii sa.nsaar kii daulat kyaa hogii ai maa.N, ai maa.N terii\threedots % #endindian \endsong %