% \startsong \stitle{tuu is tarah se merii zi.ndagii me.n shaamil hai}% \film{Aap To Aise Na The}% \year{1980}% \starring{Ranjeeta, Raj Babbar}% \singer{Hemlata / Manhar / Rafi}% \music{Usha Khanna}% \lyrics{Nida Fazli}% % % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % tuu is tarah se merii zi.ndagii me.n shaamil hai jahaa.N bhii jaauu.N ye lagataa hai, terii mahafil hai ye aasamaan ye baadal ye raaste ye havaa har ek chiiz hai apanii jagah Thikaane pe ka_ii dino.n se shikaayat nahii.n zamaane se ye zi.ndagii hai safar tuu safar ki ma.nzil hai, jahaa.N bhii \threedots har ek phuul kisii yaad saa mahakataa hai tere khayaal se jaagii huii fizaae.n hai.n ye sabz pe.D hai.n yaa pyaar kii duaae.n hai.n tuu paas ho ki nahii.n phir bhii tuu mukaabil hai, jahaa.N bhii \threedots har ek shay hai muhabbat ke nuur se roshan ye roshanii jo naa ho zi.ndagii adhuurii hai raah\-e\-vafaa me.n koii hamasafar zaruurii hai ye raastaa kahii.n tanahaa kaTe to mushkil hai, jahaa.N bhii \threedots rafii: ## --- --- --- --- --- ## ## (first stanza same as above ...) ## tere bagair jahaa.N me.n koii kamii sii thii bhaTak rahii thii javaanii a.ndherii raaho.n me.n sukuun dil ko milaa aa ke terii baaho.n me.n mai.n ek khoI huii mauj huu.N tuu saahil hai, jahaa.N bhii \threedots tere jamaal se roshan hai kaayanaat merii merii talaash terii dilakashii rahe baakii khudaa kare kii ye diivaanagii rahe baakii terii vafaa hii merii har khushii kaa haasil hai, jahaa.N bhii \threedots % #endindian \endsong %