% \startsong \stitle{tum chalii jaaogii parchhaaiyaa.N rah jaae.ngii}% \film{Shagun}% \year{}% \starring{???}% \singer{Rafi}% \music{Khaiyyam}% \lyrics{Sahir}% % % Contributor: Vandana Venkatesan % Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 11/02/1996 % \printtitle #indian % tum chalii jaaogii parchhaaiyaa.N rah jaae.ngii kuchh na kuchh husn kii raanaaiyaa.N rah jaae.ngii sun ke is jhiil ke saahil pe milii ho mujhase jab bhii dekhuu.Ngaa yahii.n mujhako nazar aaogii yaad miTatii hai na ma.nzar ko_ii miT sakataa hai duur jaakar bhii tum apane ko yahii.n paaogii tum chalii jaaogii \threedots ghul ke rah jaaegii jho.nko.n me.n badan kii khushabuu zulf kaa aks ghaTaao.n me.n rahegaa sadiyo.n phuul chupake se churaa le.nge labo.n kii surkhii ye javaan husn fizaao.n me.n rahegaa sadiyo.n tum chalii jaaogii \threedots is dha.Dakatii hu_ii shadaab\-o\-hasiin vaadii me.n yah na samajho ki zaraa der kaa kissaa ho tum ab hameshaa ke liye mere muqaddar kii tarah in nazaaro.n ke muqaddar kaa bhii hissaa ho tum tum chalii jaaogii \threedots % #endindian \endsong %