% \startsong \stitle{tere sadake balam na kar koii Gam}% \film{Amar}% \year{}% \starring{Dilip Kumar, Madhubala, Nimmi}% \singer{Lata}% \music{Naushad}% \lyrics{Shakeel}% % % Contributor: Samiuddin Mohammed (sm0e@lehigh.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Fri Sep 1 1995 % Credits: % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % \printtitle #indian % tere sadake balam na kar koii Gam ye samaa ye jahaa.N phir kahaa.N ho, tere sadake balam na kar koii Gam din hai.n suhaane, phir kaun jaane aae na aae bahaar tuu Gam ko piile, dam bhar ko jiile, duniyaa kaa kyaa aaitabaar ho jii, piyaa, duniyaa kaa kyaa aitabaar tere sadake balam\threedots kaa.nTo.n me.n daaman ulajhe na saajan phuulo.n me.n ha.Nsake guzaar tho.Dii ha.Nsii hai, tho.Dii khushii hai, dukh zi.ndagii me.n hazaar ho jii, piyaa, dukh zi.ndagii me.n hazaar tere sadake balam\threedots naiyaa milan kii mauje.n pavan kii, kahatii hai.n mujhako pukaar gaataa chalaa chal, ha.Nsataa chalaa chal, jiivan kii nadiyaa ke paar ho jii, piyaa, jiivar kii nadiyaa ke paar tere sadake balam na kar koii Gam ye samaa ye jahaa.N phir kahaa.N % #endindian \endsong %