% \startsong \stitle{sachchaa_ii chhup nahii.n sakatii banaavaT ke asuulo.n se}% \film{Dushman}% \year{}% \starring{Rajesh Khanna, Mumtaz}% \singer{Kishore}% \music{Laxmikant-Pyarelal}% \lyrics{Anand Bakshi}% % % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Vandana Venkatesan (vandana@ece.scarolina.edu) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % haa.N \threedots, sachchaaI chhup nahii.n sakatI, banaavaT ke usuulo.n se ki khushabuu aa nahii.n sakatI, kabhI kaagaz ke phuulo.n se ! mai.n intazaar karuu.N, ye dil nisaar karuu.N mai.n tujhase pyaar karuu.N, o magar kaise aitabaar karuu.N ? jhuuThaa hai teraa vaadaa ! vaadaa teraa vaadaa, vaadaa teraa vaadaa \- (2) vaade pe tere maaraa gayaa, bandaa mai.n siidhaa saadhaa vaadaa teraa vaadaa, vaadaa teraa vaadaa \- (2) tumhaarii zulf hai yaa, sa.Dak kaa mo.D hai ye ? tumhaarii aa.Nkh hai yaa, nashe kaa to.D hai ye? kahaa kab kyaa kisI se, tumhe.n kuchh yaad nahii.n hamaare saamane hai, hamaare baad nahI.n kitaab\-e\-husn me.n to, vafaa kaa naam nahii.n, are ! (mohabbat tum karogii ? tumhaaraa kaam nahii.n !) \- (2) aka.Datii khuub ho tum, merii mahabuub ho tum \- (2) nigaah\-e\-gair se bhii, magar manasuub ho tum kisii shaayar se puuchho, gazal ho yaa rubaa_ii bharii hai shaayarii me.n, tumhaarii bevafaa_ii ho ! daaman me.n tere phuul hai.n kam, aur kaa.NTe.n hai.n zyaadaa vaadaa teraa vaadaa, vaadaa teraa vaadaa \- (2) vaade pe tere maaraa gayaa, bandaa mai.n siidhaa saadhaa vaadaa teraa vaadaa, vaadaa teraa vaadaa \- (2) taraane jaanatii hai, fasaane jaanatii hai ka_ii dil to.Dane ke, bahaane jaanatii hai kahii.n pe soz hai tuu, kahii.n pe saaz hai tuu jise samajhaa naa koii, vahii ek raaz hai tuu kabhii tuu ruuTh baiThii, kabhii tuu muskaraa_ii, are ! kisii se kii mohabbat, kisii se bevafaa_ii ! \- (2) u.Daae hosh taubaa, terii aa.Nkhe.n sharaabii \- (2) zamaane me.n huii hai, inhii.n se har kharaabii bulaae chhaa.Nv koii, pukaare dhuup koii teraa ho ra.ng koii, teraa ho ruup koii ho ! kuchh phark nahii.n naam teraa, raziyaa ho yaa raadhaa !! vaadaa teraa vaadaa, vaadaa teraa vaadaa \- (2) vaade pe tere maaraa gayaa, bandaa mai.n siidhaa saadhaa vaadaa teraa vaadaa, vaadaa teraa vaadaa \- (2) % #endindian \endsong %