% \startsong \stitle{patthar se shiishaa Takaraa ke}% \film{Saavan Ko Aane Do}% \year{1979}% \starring{Arun Govil, Zarina Wahaab}% \singer{Anandkumar C}% \music{Rajkamal}% \lyrics{Fauq Jaami}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: % Editor: % \printtitle #indian % vaqt ke Dhaa.Nche me.n apanii zi.ndagii ko Dhaal kar muskuraa_o maut kii aa.Nkho.n me.n aa.Nkhe.n Daal kar patthar se shiishaa Takaraa ke, vo kahate hai.n dil TuuTe na us dhan kii kiimat kuchh bhii nahii.n, jis dhan ko luTeraa luuTe na do aa.Nkho.n ke Takaraane se afasaane banate hai.n lekin kuchh aise fasaane hai.n jinakaa kaa.NTo.n se daaman chhuuTe na patthar se shiishaa Takaraa ke \threedots aa.Nkho.n kaa ishaaraa dhokhaa thaa baato.n kaa sahaaraa dhokhaa thaa ab Gam me.n dil Duube lekin ma.Njhadhaar se naataa TuuTee na patthar se shiishaa Takaraa ke \threedots tuufaa.N me.n chalate rahanaa hai sholo.n me.n jalate rahanaa hai vo ma.nzil kyaa jis ma.nzil pe pairo.n ke chhaale phuuTe na patthar se shiishaa Takaraa ke \threedots % #endindian \endsong %