% \startsong \stitle{mujhe jaa.N na kaho, merii jaa.N, merii jaa.N}% \film{Anubhav}% \year{1971}% \starring{Sanjeev Kumar, Tanuja, Dinesh Thakur}% \singer{Geeta}% \music{Kanu Roy}% \lyrics{Gulzar}% % % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Rajan P. Parrikar (parrikar@csn.org) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Malini Kanth % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % merii jaa.N, mujhe jaa.N na kaho merii jaa.N merii jaa.N, merii jaa.N mujhe jaa.N na kaho merii jaa.N merii jaa.N, merii jaa.N (jaa.N na kaho a.njaan mujhe jaan kahaa.N rahatii hai sadaa ) \- 2 a.njaane, kyaa jaane jaan ke jaae kaun bhalaa merii jaa.N mujhe jaa.N na kaho merii jaa.N \threedots suukhe saavan baras gae kitanii baar in aa.Nkho.n se do buu.Nde.n naa barase in bhiigii palako.n se merii jaa.N mujhe jaa.N na kaho merii jaa.N \threedots (ho.nTh jhuke jab ho.nTho.n par saa.Ns ulajhii ho saa.Nso.n me.n ) \- 2 do ju.Davaa.N ho.nTho.n kii baat kaho aa.Nkho.n se merii jaa.N mujhe jaa.N na kaho merii jaa.N \threedots % #endindian \endsong %