% \startsong \stitle{mai.n man kii baat bataauu.N}% \film{Dhartimata}% \year{1938}% \starring{Saigal}% \singer{Saigal, Uma Shashi}% \lyrics{Pt. Sudarshan}% \music{Pankaj Mullick}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % \printtitle #indian % u : man kii baat bataauu.N mai.n man kii baat bataauu.N kyaa-kyaa baat uThat man more (2) sab kah kar samajhaauu.N mai.n man kii baat bataauu.N phuul banuu.N (2) phuulan a.ng mahakuu.N ba.nsii banakar gaauu.N param puniit prabhaat banuu.N mai.n jaaguu.N aur jagaauu.N nipaT suhaanii dhuup banuu.N mai.n jaaguu.N aur jagaauu.N mai.n man kii baat bataauu.N jaag banuu.N aakaash sajaauu.N taare roz jalaauu.N lahar banuu.N pal pal laharaauu.N baadal ban jag chhaauu.N (2) s : tuu baadal kaa ruup bane mai.n chaatak ruup dhar aauu.N (2) suukhaa pyaasaa khet banuu.N mai.n (2) pal pal tujhe bulaauu.N mai.n man kii baat bataauu.N (2) miiThaa giit banuu.N jharane kaa nit nit sunat suhaauu.N (2) aashaa kaa sapanaa banakar (2) man TuuTe jo.D dikhaauu.N mai.n man kii baat bataauu.N (2) % #endindian \endsong %